http://i54.tinypic.com/316t3xf.jpg
Teri yaad mein jeetay jeetay ek zamaana beet gaya
Hum ko apne aap se bichray ek zamaana beet gaya
Paani ke parday per tum ne naam wafa ka likha thaa
Paani ke lehroon ko taktay ek zamaana beet gaya
Aankhoon mein kuch khwaab basa kar hum ne jeena chaaha thaa
Aankhoon mein khwaaboon ko sulagtay ek zamaana beet gaya
Jaate jaate phir milne ki aas na detay tau acha thaa
Phir milnay ki aas mein jaltay ek zamaana beet gaya
Kaun sunay fareyaad kisi ki kaun kisi ka dard sahay
Apne aap se baatain kartay ek zamaana beet gaya …