**Jaatay jaatay woh mujhe achi nishaani degaya
Umer bhar dohraaonga aisi kahaani degaya
Us se mein kuch paa sakoon aisi kaha umeed thee
Gham bhi woh shayad bara-e-meharbaani degaya
Sab hawayein legaya mere samundar ki koi
Aur mujh ko ek kashti badbaani degaya
Khair mein pyaasa raha per us ne itna tu kiya
Meri palkoon ke kataroon ko woh paani degaya
![]()
![]()
**