Jaatay hi ek shaks ke, kya kya badal gaya !

Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Woh shaks ek shaam mein kitna badal gaya

Kuch din tu mera aks raha aaenaay pe naksh
Phir yun huwa ke khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe hum tum na reh sakay
Tu kya huwa jo hum se zamaana badal gaya

Qadmoon tallay jo rait bichee thee woh chal pari
Us ne churrayya haath tu sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah per nahee rahi
Jaatay hi ek shaks ke kya kya badal gaya

:frowning: :frowning: :frowning:

Good One :k: :k: :k:

bhut achay:k:

Arif bhai kya ho gaya hai ap ko????? itnay udaas kyoon hain...........?

bohut khoob:k::k and i agree with heart hecker.

damn.. :(

bohat khoob arif gi :k:

bohat khoob. :k:

[QUOTE]
*Originally posted by XkanwalX: *
damn.. :(
[/QUOTE]

**Your comments are bit confusing... can you clear them what they mean

you say awsome, damn... are you trying to say it is good or bad **

Re: Jaatay hi ek shaks ke, kya kya badal gaya !

Zabardast :k:

bahut khoob arif sahab! thanks 4 sharing

waisay badal tu bahut kuch jata hai hota sab nazar ka dhoka hai
aur nazar ka dhoka hi tha sab kuch jo samjha woh tha nahi aaj kal sab ko apna aap bahut pyara hota hai na aur phir pyar ka guzar tu baad main ata hai janay kyo logh daway sey pehlay kuch sochtay nahin
unkay aap unki ghazaloon sey woh apna dard tu zahir kartay hain per woh hotay kia hain shayad ye koi nahin janta jo nazar ata hai woh dhoka hota hai!
phir pyar main saud a nahi kisi baat ka sehna tu parta hai na!

well nice poetry arif sahab keep it up!

hum bhi kia ghuftoogo karbethay !

Thanks *CoOL~NetizeN, Jaan Lewaa, HeArT HaCKeR, ghazal kisi ke, XkanwalX, chand)chehra, dewana tera, Dilsay, Dania_2000 and Lamhay *