**
toofan mein naao hai tanha jaisey koi kinaara naheen
kotaahii-e-qismat hai sabke hum koi hamaara naheen
rehne dijiye yunhi toofanon mein koi to saath hai
koi to hai ke jisko hamaari tanhaai gawaara naheen
kabhi to tootna tha mujhe so toot gaya to kya hua
ooj-e-falak pe chamakta rehta mai wo sitara naheen
koi to aaye hamari dehleez par ghaflat main hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen
dhondti hai nazar koi raushni koi khushi har jagah
ye bhi hamari tarhan hai iska bhi koi sahara naheen
kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen
udaas kab tha kismat se main jo shikwa karta
jaanta hoon bina ghum ke koi zindagi guzaara naheen!
**