Jharna
1
**hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiN
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahiN
maiN ne palakoN se dar-e-yaar pe dastak dii hai
maiN vo saa_il huuN jise koi sadaa yaad nahiN
maiN ne jin ke liye raahoN meiN bichhaya tha lahu
ham se kahate haiN vahi ahad-e-vafaa yaad nahiN
kaise bhar aaiN sar-e-shaam kisi ki aaNkhen
kaise tharraa_e charaaGon kii ziya yaad nahiN
sirf dhundhalaa_ii sitaaroN ki chamak dekhi hai
kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahiN
zindagi jabr-e-musalasal ki tarah kaTati hai
jaane kis jurm ki paa’e hai saza yaad nahiN
aao ik sajdaa kareN aalam-e-madhahoshi meiN
log kahate haiN ke “Sagar” ko Khuda yaad nahiN
**
JaanKiDushmaN
hanie
3
Amal
4
Hmmm…“dekha huwa sa chehra naam suna suna sa hey”
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
Bazeecha-e-atfaal hey dunya mery aagey…
Farwa
5
Jharna
6
Jharna
7
maslaN…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif
naam aur chaharay ki tashreeh kijeay
JaanKiDushmaN
bohat khoob jharna…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
mairay dill mairay mussafir