Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha

Jo daagh dil paiy lagay onn ko mita kar jeetay

Kaisay hum onn ke jafaon ko bhola kar jeetay

Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya tau pathar ka koe bott he bana kar jeetay

Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay

Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay

Rung pheekay thhay chaman main bhe gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay

Na koe hud haiy ulfat mai azaadari kee
Na he laazim thha k hum ansoo baha kar jeetay

Zindagi bhe tau badalti haiy thikaanay
Warna momkin thha galay isko laga kar jeetay

Re: Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha

wah wah

Re: Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha

Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay

:hinna: aap ki bhi bijli chali gai?

Re: Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha

Bohat Umdah.....