jaanay kis kis ko aaj ro baithay...

phir hareef-e-bahaar ho baithay
jaanay kis kis ko aaj ro baithay

thi, magar itni raaegaaN bhi na thi
aaj kuch zindagi say kho baithay

teray dar tak puhunch kay laut aaey
ishq ki aabru dubo baithay

saari dunya say door ho jaaey
jo zara teray paas ho baithay

na gaee teri bay-rukhi na gaee
ham teri aarzu bhi kho baithay

Faiz, hota rahay jo hona hay
she’r likhtay raha karo baithay

Faiz. for my naik

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

nice one

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Ay dost aa bhi jaa ke mein tasdeek kar sakun
Sub keh rahe hain aaj fiza khush gawar hai


Irfan Ismail