-------------------------
Iss Shanaasai Ki Deevar ko Gir Jaanay Day
Tou Mujhay Paas Say Chup Chaap Guzar Jaanay Day
Zaidagee Ghum Main Tayray Khud Hee Bikhar Ja’eygee
Hijar Kay Dard Ka Mafhoom Samajh Jaanay Day
Haan Tayray Baad Sambhal Jaingey Rafta Rafta
Hum Issi Aas main Hain Hum Ko Behel Jaanay Day
Apni Marzi Say Samaittay Hain Yeh Aansoo Hum Nay
Mujh Ko Is Dard Kay Darya Main Utar Jaanay Day
Gham e Tanhai Tujhay Khaak Na Kar Day Aakhir
Thaam Lay Haath Koi Mayree Fikar Jaanay Day