**Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jahaan **
**Yaad kya tujhko dilaayain tera paimaan janaan **
**Yun hi mousam ki ada dekh ke yaad aaya hai **
**Kis kadar jald badal jaate hain insaan janaan
**
**Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai **
**Humne jaise bhi basar ki tera ehsaan jaanaan **
**Dil ye kehta hai ke shaayad ho afsurda tu bhi **
**Dil ki kya baat karain dil to hai naadaan jaanaan **
**Avval-Avval ki muhobbat ke nashe yaad to kar **
**Bepiya bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan **
**Aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab h0sh nahin **
**Rag-e-meena sulag uthi ki rag-e-jaan jaanaan **
**Mudaton se ye aalam na tavako na umeed **
**dil pukaare hi chala jaata hai jaanaan jaanaan **
**Hum bhi kya saadaa the humne bhi samajh rakha tha **
**Gham-e-douraan se juda hai gham-e-jaanaan jaanaan **
**Abki kuch aisi saji mehfil-e-yaaran jaanaan **
**Sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaan jaanaan **
**Har koi apni hi aawaaz se kanp uthta hai **
**Har koi apne hi saaye se hiraasaan jaanaan **
J**isko dekho wohi zanjeer-baa-paa lagta hai **
**Sheher ka sheher huwa dakhil-e-zindaan jaanaan **
**Ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aaye **
**Aur se aur huwa dard ka unvaan jaanaan **
**Gham ki roothi huwi rut ko bhi manaa lete the **
**Gham ne dekha hi na tha mousam-e-hijraan jaanaan **
Hosh aya to subhi khwaab the raiza raiza
**Jaise urte huwe auraaq-e-pareshaan jaanaan **