DO YOU REMEMBER…
ab kay tajdeed-e-wafa kaa naheen imkaan jaanaan
yaad kia tujh ko dilain tera paymaan jaanaan
yoonhi mousam ki ada dekh kay yaad ayaa hay
kis qadar jald badal jaatay hain insaan jaanaan
zindagi teri atta thi so teray naam ki hay
hum nay jaisay bhi basar ki tera ihsaan jaanaan
dil ye kehtaa hay kay shayad hu fusurdaa tu bhi
dil ki kia baat kareen dil tu hay nadaan jaanaan
if u like it i can complete yhe whole ghazal