Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Hum ne in tund havaon mein jalaey hain charagh
jin havaon ne palat di hain bisatein aksar
Hum se ik baar bhi jeeta hai nah jeetay ga koi
Woh tou hum jaan kay khaa leytay hain maatein aksar

Jaan ko khush kernay kay liey kya kuch nahin kerna perta :wub:

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

yeh bhe aadaab hamarey hein, tumhein kia maaloom
hum tumhein jeet ke haarey hein,tumhein kia maaloom

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

dil ke Khush rakhne ko, “Ghalib!”, yeh Khayaal achchhaa hai!!! :hmmm:

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Koi tou hai Munir Jissey fikr hai meri
Yeh jaan ker bari herat hui mujhey

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Woh boli zindagi ka akhri kirdaar herat hai
Main bola mout say pehley koi gher bar herat hai

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Ghalib rehtay hongay khayalon mein hum tou haqeeqat pasand loag hain :stuck_out_tongue:

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Barson baad azn e tabassum mila hamain
Woh bhi kuch aesa talkh keh aansu nikal parey

Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Remind me of

Jin pe tha takiya wo patay hawaye dene lagay.

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Ye khazaaN ki zard se shaam meiN jo uddas pairrh ke paas hey
ye tumharey ghar ki bahaar hey, issey aaNsoo'oN se harra karo

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

ye Jin aisy he hoty hain...

Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Nahi nahi yeh jinnat wala Jin nahi, yeh like Jese kisi Ki bat karte hain wo.

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

i see..... may to wiasy he dar gia...

Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

App tou darate hain, khud aaj kese dar Gaye.

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

lol… may ne kis ko daraya hai aaj tak… agar log khud he dar jaate hain to much bechary ka kya qasoor :bummer:

Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

:ASA: <--- is se aur apne Avi se :p

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

ye to unkay ley hai... jo panga laity hain.... :)

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Haey boseetgi meray ghar ki
Aik dastak se he divaar girr gaee

Boseedghi **

Re: Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Boseedgii

Jaan kay khaa leytay hain maatein ..AKSAR.

Bahan ji apne D Ki jagha T lagaya tha :snooty: