meri aankhoon se dekhogay haqeeqat jaan jaaogay
meri rahoon se guzarogay muhabat jaan jaaogay
kisi ke waastey kia kia nahi humne kiya ab tak
nahi kiay zahar baatoon ka yahan humne piya ab tak
kaai raatoon ko sardkon per bhatakte thay mohabat main
meri barbaadiyaan dekhogay qusimat jaan jaaogay
zarori ye nahi har ishq ki manzil judaai ho
nahi anjaam duniya main wafa ka bewafaai ho
kabhi milker bhi chahat main sakoone dil nahi milta
mere haalaat dekhogay to wehshat jaan jaaogay
faqat nafarat si hoti hai karey jo piyaar ki baatain
usey milta nahi jo bhi karey dildaar ki baatain
zubaan se keh nahi sakta jo furqat ne diya mujhko
mere dil se jo poocho gay to chahat jaan jaaogay