Jaan ho gayi hogi

**Jab teri jaan ho gayi hogi
jaan hairaan ho gayi hogi

shab tha meri nigaah ka bojh uspar
wo to halkaan ho gayi hogi

uski khaatir hua main khaar bahot
wo meri aan ho gayi hogi

ho ke dushvaar zindagi apni
kitni aasaan ho gayi hogi

be-gilaa hoon main ab bahot din se
wo pareshaan ho gayi hogi

ek haveli thi dil mohalle mein
ab wo veeraan ho gayi hogi

uske kooche mein aayi thi shireen
uski darbaan ho gayi hogi**

JAUN ELIYA

Re: Jaan ho gayi hogi

**ek haveli thi dil mohalle mein
ab wo veeraan ho gayi hogi

Kia bijle ka bill nahin dia tha?
**

Re: Jaan ho gayi hogi

waqai

Re: Jaan ho gayi hogi

bijle ka bill na denay se thore verani ati hai, bs andhera hota ha, wo kai log chori kar k ujala kar laitay hain
wesay koe chala gya hoga haveli se
es leay wo veraan hogai hogi