http://www.send4fun.com/rwbwflies.gif
Ab kay tajdeed-e-wafa ka nehi amkan jana
Yaad kya tujko dilayin tera peman jana
Yoonhi mosem ki aada dekh ker yaad aaye
Kis qadar jalad badal jatay hain insaan jana
Zindgi teri aata ki ti so teray naam ki
Hum ne jaisay bhi basar ki tera ihsaan jana
Mudaton se yehi aalim na tauwaqa na umeed
Dil pukaray hie jala jata hai jaan-e-jana
Hum bhi kyaa sada thay hum ne bhi samj rekha tha
Gham-e-dauran se juda hai gham-e-jana
Ab tera ziker bhi shayd hie ghazal main aaye
Ur se aur huay derd kay unwaan jana