shab-e-ghurbat mein bhi paasay wafa rakhtay hain
hum tu yaad sayaa bhi tera rakhtay hain
waraftigye jaan ka sabab maloom naheen
haan kay tujh saa mehboob-e- jafa rakhtay hain
teray shehar mein subh-e-wisaal kahaan
chal phir say bunyaad-e-saba rakhtay hain
wuhi koocha hay wohi maikhana shabeer
aaj kaf-e-saaqi pay jaam-e- duaa rakhtay hain
Re: JAAM E DUAA
cool powerful expressions
![]()
Re: JAAM E DUAA
shukriyaaa janabbb
Re: JAAM E DUAA
Ali its very impressive ..aap kitnay arsay say poetry kar rahay haiN ???
Ali its very impressive ..aap kitnay arsay say poetry kar rahay haiN ???
ab tu yaaad bhi naheen bas jab ghaib say koi mazmoon aa jaye tu khuch kah letay hain aur kabhi haftoon khuch bhi naheen
Re: JAAM E DUAA
Acha to aap par bhi aamud hoti hay :aq: good bhai good keep it up … hum dua go haiN kah aap par aamud hoti rahay