Izhaar-e-Tammana

Meri muhabbat ko izhaar chaheay tha
kuch lafzon ka iqraar chaheay thaa
Tum ney waada kia thaa saath dainay ka
Mujhay waaday pey aitabaar chaheay thaa
Dil to main dey he chuki thee aey.. jaanan
Mujhay to thorra sa payar chaheay thaa
Bewafa main to nahin hoon magar
Teri wafaoun ka iqraar chaheay thaa
khahishon k is beykraan samundar main
Chota sa undaikha sansaar chaheay thaa
Zindagi k is nashaib-o-fraaz sey guzarnay ko
Mujhay to raasta humwaar chaheay thaa
Tum aaou gey yeh yaqeen tou thaa
Mujhay tou tera intazaar chaheay thaa
jazbon k is sammundar main tairnay ko
Mujhay tou patwaar chaheay thaa
Naumeedy k is andhairay main
Roshni ka meenaaar chaheay thaa
Rehnay ko is faani dunia main
Mujhay tou lafaani ghar baar chaheay thaa
Main izhaar e muhaabat tou kerti laikin
Tumhaari chahton ka iqraar chaheay thaa*

Re: Izhaar-e-Tammana

Its excellent :k:

Beautiful...:)

Goody i like your nick anchaal :)

thanks Hearthacker , perfectionist &nazam
ap ka nick bhe kum nahin ;)