**Tum Ko Jab Milain Kabhi Fursatain Mere Dil Say Bojh Utar Do
Main Bohat Dinon Say Udas Hoon Mujhay Koi Sham Udhar Do
Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do Kay Chamak Sakain Mere Khal O Khad
Mujhay Apnay Rang Main Rang Do Mere Saray Zang Utar Do
Meri Wehshehtoan Ko Burrha Diya Hai Teri Judaion Kay Azab Nay
Mere Dil Pay Haath Rakho Zara Meri Dhadkanon Ko Qarar Do**
gheli
2
Re: Izhaar-e-Muhabbat
Beautiful words :)
thx for sharing
Re: Izhaar-e-Muhabbat
tumhain jab kabhi milain fursatain, mairay dil say boojh uttar do
main bohat dinnoj say udaas hoon, mujhay aik shaam udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do kay chamak sakain meray khalo khad
mujhay apnay rang main rang do meray saray zang utar do...
kisi aor ko meray haal say na gharaz hai na koi wasta
main bikhar gaya houn samait lo main bigar gaya houn sanwar do
meri wehshaton ko barha dia , hay judaiyon kay azabnay
meray dill pe haath rakho zara , meri dharkanon ko karaar do
tumhain subha kaisi lagi kaho, meri khowhishon ki deedar ki
jo bhali lagi tu yaheen raho, usay chahaton say nikhardo
wahan ghar main kon hai muntazir kay ho fikar dair sawair ki
bari mukhtasar si ye raat hai isi chandni main guzar do
koi baat karni hai chand say kisi shakhsar ki aot main
mujhay rastay main yaheenkaheen kisi gang gal main utar do.