Izhaar-e-Mohabbat

youn tu unginnat tareeqy hain iss lateef ehsass ke izhaar ke … unhi mein se ek dil ko bha janne wala andaz yeh bhi hai …

yeh jhuki jhuki nigahain, inhain mein salaam karloon
yahein apni subh karloon, yahein apni shaam karloon
yeh jhuki jhuki nigahain, inhain mein salaam karloon


tera gham, teri mohabbat, tera dard, teri hassrat
teri ho agar ijazzat, tu mein apne naam karloon
yeh jhuki jhuki nigahain, inhain mein salaam karloon


tu hi meri ibteda hai, tu hi meri inteha hai
jahan tu ishara kar dey, mein wahin qayaam kar loon
yeh jhuki jhuki nigahain, inhain mein salaam kar loon


teri zulf ke yeh saye, buss ab age koon jaye
tu kahe tu zindagi ko, mein yahin tammam kar loon
yeh jhuki jhuki nigahain, inhain mein salaam karloon

Re: Izhaar-e-Mohabbat

Takraa he gaee meri nazar unki nazar se
Dhona he parha haath tujhe qalb-o-jigar se

izhaar-e-mohabbat na kiya bas isshee darr se
aesaa na ho girr jauu'n kahee'n unki nazar se

ay zauq-e-talab josh-e-januu'n ye tu bataa de
jaana hain kahaan aur ham aaye hain kidhar se

Faiyyaz ab aaya hain januun josh pe apna
hasta hain zamana main guzrtaa huun jidhar se

By: Fayyaz Hashmi

Re: Izhaar-e-Mohabbat

good oye ..