Its Serious,don think wrong on it

Re: Its Serious,don think wrong on it

pehli baat iss baat main bhut see baatain hain

allah ta`llah khud kehta hey keh woh zaalim ke rasi daraaz kerta hey - yani woh zaalim ko zaroora moqa dayta hey - abh zaalim ke apni marzi keh woh reaham karay yah nahin -
iss kay ilawa yeh baat bhe hey - keh zulm sehnah be zaalim insaan ke nishaani hey -

aur aazmysh naik logoon per aati hey -

aur dukhi dil ke dua aasman ko be hila deti hey -

jub koi larka ya gand kisi larki ke izzat ko nuqsaan poonchahtay hain tu iss baat ka yeh matlab nahin keh allah ke marzi thee - yani yeh aik taqdeer hey

taqdeer 3 qism ke hoti hey - jis main aik atal qism hoti hey - woh atal qism yeh hey keh woh taqdeer kabi tul nahin sakti -- jaisay key death ka time kabi tul nahin sakta

abh taqdeer kee aik qism yeh bhe hey keh choonkay allah nay insan ko bunaya hey woh uss kay her amal ko janta hey - lekin phir bhe woh insan ko moqa dayta hey keh woh apni marzi karay .

kabi insan ke zindagee bhut thori hoti hey - lekin uski naiki ke waja say lambi ho jaati hey

kabi wohi zindagee buraye ke wajah say thori bhe ho jaati hey

lekin in baatoon main qismat ka bhe saath chahiy- jub app ke qismat he achi na ho - tu phir insan allah say mudad he maan sakta hey

takay woh uski buri qismat ko bhe ache ker day .

insan inhe baatoon say allah ko pehchanta hey - keh woh buray ko acha aur achay ko bura ker dayta hey - woh sub kuch ker sakta hey -