**
Itni muddat baad milay ho
Kin sochon mein gum rehtay ho
Itnay khaif keon rehtay ho
Har ahat say dar jatay ho
Taiz hawa nay mujh say poocha
Rait pay kia likhtay rehtay ho
Kaash koi hum say bhi poochay
Raat gaey tak keon jagay ho
Main darya say bhi darta hun
Tum darya say bhi gehray ho
Konsi aisi baat hai tum mein
Keon itnay achay lagtay ho
Peechay mur k keon dekha tha
Pathar ban k kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao
Main jhota hun tum sachay ho
Apnay shehr k sab logon say
Meri khatir keon uljhay ho
Kehnay ko rehtay ho dil mein
Phir bhi kitni dur kharay ho
Raat hamain kuch yaad nahi tha
Raat bohat he yaad aey ho
Hum say na pocho hijr k qissay
Apni kaho ab tum kesay ho
Mohsin tum badnaam bohat ho
Jesay ho, phir bhi achay ho**