Itni fursat nahi ab aur sukhan kia likhna?
Bs ba-andaze ghazal oska sarapa likhna
oski ankho ma machaltay huway darya parhna
dil ko sailab k mosam ma b pyasa likhna
oski zulfon ko andheron main bikharny daina
ooskay chehray ko magr chand ka tukra likhna
oskay abroo ko hilal e shabe wada kehna
osky rukhsaar ki surkhi ko shafaq sa likhna
gholna khud dhoop ma osky badan ki chandi
osky k saye ko qasam kha k sunehra likhna
dekh laina jo kbi agyaar ki mehfil ma
dil ki baton pe na jana osay apna likhna
zikar maqtal ka jo krna ho to “mohsn” pyaray
apnay qatil ko baha taur maseha likhna
Re: Itni fursat nahi ab
Nice.
Re: Itni fursat nahi ab
zikar maqtal ka jo krna ho to "mohsn" pyaray
apnay qatil ko baha taur maseha likhna
Iss ghalat bayani ka faida?
Re: Itni fursat nahi ab
zikar maqtal ka jo krna ho to "mohsin" pyaray apnay qatil ko bahar taur maseha likhna
Iss ghalat bayani ka faida?
bs,
jaisy kabootr billi ko dekh k ankhen band kr leta ha, ya PM gilani asif zardari ki tareefain krtay krtay qurbani ka baqra ban jata ha, mqm pml(x) wegera ma b aisa e kuch hota ha. :p
wesay mohabt k mehboob ki sitam ashiq k leay sar ankhon pe hotay hain
Re: Itni fursat nahi ab
gursat nikalni perti hy
AAJO AB TO AANE KI GHARI HY ![]()
der se aaogy to kaho gey burhi khari hy :halo:
Re: Itni fursat nahi ab
bs, jaisy kabootr billi ko dekh k ankhen band kr leta ha, ya PM gilani asif zardari ki tareefain krtay krtay qurbani ka baqra ban jata ha, mqm pml(x) wegera ma b aisa e kuch hota ha. :p wesay mohabt k mehboob ki sitam ashiq k leay sar ankhon pe hotay hain
mehboob agar chappal maare to usko kahan rakhna chahiye
Re: Itni fursat nahi ab
mehboob agar chappal maare to usko kahan rakhna chahiye
jaib main :p