Itni Fursut Nahi Ab Or Sukhan Kia Likhna?
Bus Ba-e-Andaaz-e-Ghazal Us Ka Saraapa Likhna
Us Ki Ankhoon Mai Machaltay Howay Derya Parhna
Dil Ko Sailaab Kay Mousam Mai Bhi Piyaasa Likhna
Bazam-e-Khusheed-e-Rukhaan Mai Wo Alag, Sub Se Alag
Halqa-e-Gul Badnaan Mai Usey Yakta… …Likna
Us Ki Zulfoon Mai Andhairon Ko Bikherney Dena
Us Kay Chehray Ko Mager Chand Ka Tukraa Likhna
Us Kay Abro Ko Hilal-e-Shab-e-Wadda Kehna
Us Kay Rukhsaar Ki Surkhi Ko Shafaq Sa Likhna
Us Kay Mathay Pay Sajana Kaye Subhoon Kay Warq
Us Ki Jhukti Hoi Palkoon Pay Fasaana Likhna
Us Ki Aahut Se Chura Lena Chutakti Kaliyaan
Us Ki Qaatmat Pay Qayamat Ka Qaseedha Likhna
Gholna Dhoop Mai Khud Us Kay Badan Ki Chandi
Us Kay Saai Ko Qasam Kha Kay Sunhaira Likhna
Subha Ki Pehli Kiran Us Kay Tabussum Ki Zakawt
Shaam Ko Bakhsish-e-Dildaar Ka Deryaa Likhna
Us Kay Malboos Ko Rangoon Kay Samander Jaisa
Us Kay Anchal Ko Samander Ka Kinara Likhna
Zindagi Merhmat-e-Junbish-e-Lab Ka Iqraar
Us Ki Her Saans Ko Ijaaz-e-Maseeha Likhna
Us Ki Batoon Ko Tilaawat Ki Terhan Duhrana
Us Kay Milnay Ko Bhi Alhaam Ka Lamha Likhna
Wo Ager Khawaab Mai Belqees Ki Suraat Uteray
Khawaab Ko Khawaab Nahi Mulq Sabba Ka Likhna
Shub Ko Angaraai Se Jub Us Ka Badan Toutta Hai
Ouj Par Apney Muqadder Ka Sitaara Likhna
Dekh Lena Kabhi Aghyaar Ki Mehfil Mai Mager
Dil Ki Batoon Pay Na Jana “Usey” Apna Likhna
Zikar Maqil Ka Jo Karna Ho Tu Mohsin Piyaray
Apney Qatil Ko Beher Tour " Masihaa" Likhna
[/RIGHT]