Itnay khaab kahan rakhon ga

Itnay khaab kahan rakhon ga
Ankhon ke bazaar mean tou ab til dharnay ki jagha nahi
Main itnay khaab kahan rakhon ga

Palkon ki chokhat pe kharay hain
Bantay mit,tay kia kia manzar
Kitni umeedon ke chehray
Kitnay imkaanon kea paker
Hathon mean phoolon kea gajray
Paron mean khushboo ki jhanjher
Lafzon kea resham mean uljhay qos-e-qazah se vaaday hain kuch
Jin ki lakh girhean teri aik nazar se khul jati hain
Aur qitaaren bandh kea ati kuch yaaden hain
Jin ki gard mean lippti raahen aik khabar se dhul jati hain
Jeevan aik taraazo jis kea aik parlay mea
Teray wasal ka khaab rahen tou
Dunya bhar ki sari khushiyan tul jati hain

Sham aaie hai
Taara taara jaltay bujhtay khaab liye
Phir sham aaie hai
Har ek khaab ke sar naamay per
Apnay jugmag hath se tu ne
Meray naam kea harf likhay hain
Aur meri ankhon ka qarya
In ki manzal darj kia hai
Lekin payaaray !
Ab ke phir tu taa,beeron ka khana bharna
Bhool gaya hai!!!

By AIA

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

almari maiN :p
btw v nice one :)

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

Jeevan aik tarazu jis ke aik palRay mai
teray wasl ka khaab rakhain to
dunya bhar ki sari khushyan tul jaati hain

:(

I haven't read this before. Do you know which of AIA's books this one's from?

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

bohat khoob :k:

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

:nono: almari say to chori hojaye gay :smiley:

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

thanks koyal,CC,and hayaa
hayaa the title of this poem is the AIA,s book name.and its a very nice book.

Re: Itnay khaab kahan rakhon ga

mujay day dain mai sanbaaal k rakh loon ga :D

PS:- bohat khoob :)