Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

dard se choor huey ho ke qaraar ayaa hai

bhar gaya hijr ka zakhm ke jee haar chaley
bujh gaya shoq ke paigham-e-nigar aya hai

na.ummidii ki thakan hai ke khumar-e-shab-e-wasl
jaan sulagti hai ke chehrooN pe nikhaar aaya hai

kitni ujjdi hui rutt hai, sukooN hai na junooN
itni befaiz hui baad-e-bahaari kesay

na kaheeN noHa-e-jaaN hai, na kaheeN naghma-e-dil
kuchh to bolo shab-e-dard guzaari kesay

sar.ba.zaano ho kyooN chaak graibaaN walo
baazi raah-e-talab main jeet ke haari kesay

Ahmad Faraz

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

veryyy nice :k:

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

Oh my godddd! such stunning poetry.....left me breathless!!

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

nihaayat umda :k:
Well Done

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

kya khoob intekhaab hai

bohat umdaah

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

na kaheeN noHa-e-jaaN hai, na kaheeN naghma-e-dil
kuchh to bolo shab-e-dard guzaari kesay

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

very nice Ali

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

Buhat Khub Ali:)

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

Phir Doobara Breath Ayya Keh nahee?:)

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

VERY NICE......HASB E HAAL....!!

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

V nice sharing ALi

Re: Itnay chup kyooN ho rafeeqan-e-safar kuchh to kaho

gud one ali :k:

thanks all :)