Aryaan
1
Itna toota hoon ke choone se bikhar jaaun ga
Ab agar aur dua do ge tau marr jaaun ga..
Pooch kar mera pata waqt raigaan na karo
Main tau banjaara hoon, kya jaane kidhar jaaun ga
Harr taraf dhundd hai, jugnu hai, na charaagh koi
Kaun pehchaane ga basti mein agar jaaun ga
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka
Tu jahan mujh se kahe gi main utar jaaun ga
Phool reh jaayen ge guldaamon mein yaadon ki nazar
Main tau khushboo hoon fizaaon mein bikhar jaaun ga
Mae tu khushbo hoon fizaoN mien bikhar jaoun ga :k:
Beautiful ghazal
thx for sharin 
Aryaan
6
Thanx "Vivacious" aur "HeArT HaCKeR". :)
reet
7
Phool reh jaayen ge guldaamon mein yaadon ki nazar
Main tau khushboo hoon fizaaon mein bikhar jaaun ga
bhoot khoob Aryan…:k::k:
really u have gr8 choice…
Aryaan
9
Re: Itna toota hoon keh.....
Thanx Reet , & Ghazal .....:)
Aryaan
10
Re: Itna toota hoon keh.....
Main sochta hoon shehar ke pathar samait kar
Woh kaun tha jo raah ko phoolon se bhar gaya
Re: Itna toota hoon keh…
Zabardast… Very Nice Aryaan … Tnx 
rao00
14
Re: Itna toota hoon keh.....
bohot khoob
Aryaan
15
Re: Itna toota hoon keh.....
Shukriya GS & Rao00 .....:)