itna toota hoon k chonay sai bikhar jaoon ga
aab ager aur dua doo gai tu mar jaoon ga
pooch ker mera pata, waqat raye-gaan na karoo
main tu banjara hoon, keya janey kidher jaoon ga
har taraf dhundh hain, jugnoon hain na chiragh koi
kaun pehchaney ga basti main ager jaoon ga
zindagi main bhi musafir hoon taire kishti ka
tu jahaan mujh sai kahey gi main utar jaoon ga
phool reh jaeen gai guldanoon main yadoon ki nazar
main tu khushboon hoon fizaoon main bikhar jaoon ga
KKF
2
Re: Itna toota hoon k…
shaa’ir kia laRkiyoN jaisii Khaslat rakhtaa hai…shaa’ir bhai, mard bano, mard! 
vaise, baRaa patni vartaa [joroo kaa Ghulaam, zan mureed] mausoof lagte haiN…kahegii k baiTho to baiTh jaayegaa; kahegii k uTho to uTh jaayegaa…saarii zindagii aise hii uTThak baiThak kartaa rahegaa…lol…chalo achchhaa hai seHat banii rahegii! 
jiia
4
Re: Itna toota hoon k…
itna toota hoon k chonay sai bikhar jaoon ga
aab ager aur duna doo gai tu mar jaoon ga
:rotato:
aab ager aur DUNA???doo gai 
Re: Itna toota hoon k…
haan haan DUA do gai
insan sai aur kb say typos ho jatey heen… 
ehsan
7
Re: Itna toota hoon k…
phool reh jaeen gai guldanoon main yadoon ki nazar
main tu khushboon hoon fizaoon main bikhar jaoon ga
wah. :k:
jiia
8
Re: Itna toota hoon k…
acha dua
meko laga dana
ese lag rha tha jese murghi ki nazam hy:cb:
ehsan
9
Re: Itna toota hoon k...
itna toota hoon k chonay sai bikhar jaoon ga
aab ager aur dua doo gai tu mar jaoon ga
World cup mein India say harna puraani aadat hai hum logon kee. Sabar karein.
Re: Itna toota hoon k...
World cup mein India say harna puraani aadat hai hum logon kee. Sabar karein.
:(
Iss baat Inshallah tareekh badley gi