**
dil shikasta hay rooh khali hay
itna tanha tera sawali hai
wasl hi chah ka paimana hua
rasm duniya nay ajab dali hai
zakhum pehchaan ban na jain kahin
bus yahi sooch ker qaba li hai
hay sukoon per hi ishq qanay kahan
is nay to neend bhi chura li hai
teri duniya tujhay mubarak hoo
main nay basti alag basa li hai
**