Itna kehna hei !

**kuch Insaan Moosmoon Ki Tara Beyaitabar Nazer Aye
Wafa Ker Ke Bhi Ham Un Ko BeyWafa Nazer Aye

Kese Bahar Dekhna Nasib Ho In Chhashm-e-Pur Nam Ko
Jab Zerd Moosam Hi AnkhooN Mei’N Utar Aye

Kuch Manga Bhi To Us Ne Hijar Hi Manga
Hum Bhi Murkurate Hove Khawahish Pori Ker Aye

Roothna Manana, Giley Shikwe Doston Sey
Inhi Sab Mein Dosto’N Ka Piyar Nazar Aye

Is Ka Dil , Is Ki Zindagi Ki Tarhan Abad Rahey
Kerb-e-Shab-e-Tanhaye Is Ki Zindagi Mein Na Aye

Ab To Us Doost Se Itna Kehna Hei Ham Na RAHEY
Jate Samey Naqsh Apne , Dil Se Hamare Mita Jaye.**

Re: Itna kehna hei !


[QUOTE]
Originally posted by Mehfil: *
**Ab To Us Doost Se Itna Kehna Hei Ham Na RAHEY
Jate Samey Naqsh Apne , Dil Se Hamare Mita Jaye.
*
[/QUOTE]

Wah... kya kehna aap ka ... Aap ne tu mehfil loot lee ... :D

Peelay patoon ka mausam ja chuka hai, zameen pe har taraf rang hi rang hain.. shokh aur dilkash... Ujlay aasmaan mein safaid badaloo ki tukreyaan tair rahe hain...Waadeyoon mein hari ghaas ke qaleen bich gaye hain... Yehi sab kuch thaa jab hum tum milay thay ...
Wohi sab kuch hai... Lekin tum nahee ho...

Maheene wasl ke gharreyoon ki surat urtay jaatay hain
Magar gharreyaan judaee ki guzari hain maheenoon mein...

Khush rahain...

Re: Re: Itna kehna hei !

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *

Wah... kya kehna aap ka ... Aap ne tu mehfil loot lee ... :D

Peelay patoon ka mausam ja chuka hai, zameen pe har taraf rang hi rang hain.. shokh aur dilkash... Ujlay aasmaan mein safaid badaloo ki tukreyaan tair rahe hain...Waadeyoon mein hari ghaas ke qaleen bich gaye hain... Yehi sab kuch thaa jab hum tum milay thay ...
Wohi sab kuch hai... Lekin tum nahee ho...

Maheene wasl ke gharreyoon ki surat urtay jaatay hain
Magar gharreyaan judaee ki guzari hain maheenoon mein...

Khush rahain...
[/QUOTE]

thanks amarbail
ap nay jo alfaz estimal kiye kabil tareef thehray .

Bohat khoob...

beautiful :k: