Jhoothi sachchi aas pay jeena, kab tak aakhir, aakhir kab tak,
Mey ki jagah khoon-e-dil peena, kab tak aakhir, aakhir kab tak !
Saucha hai ab paar utraingay, ya takra kar dhoob maraingay,
Toofano ki zad pay safeena, kab tak aakhir aakhir kab tak !
Ek maheenay kay vaaday par, saal guzaara phir bhi na aayey,
Vaaday ka yeh ek maheena, kab tak aakhir aakhir kab tak !
Saamnay duniya bhar kay gham hain, aur idhar ik tanha hum hain,
Sainkdo pathar ik aaiana, kab tak aakhir aakhir kab tak !
Kashif Indori
Re: itezhaab
Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyon hain !
Main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon,
Roshni vaalay meray naam say jaltay kyon hain !
Neend say mera taaluq hi nahin barso sein,
Khawab aa aa kay meri chat pay tehltay kyon hain !
Mod hota hai jawaani ka sambhalnay kay liyey,
Aur sab log yahin aa kay fisaltay kyon hain !
Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyon hain !
Rahat Indori
Re: itezhaab
- khayal keejiye kya kaam aaj maine kiya jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
- kaha yeh sabr ne dil se ke lo khuda haafeez ke haq-e-bandagee apna, tamaam maine kya
- jhidak ke kehne lage, lab chale bahut ab tum kabhi jo bhool ke unse, kalaam maine kiya
- hawas yeh reh gayee, sahib ne par kabhi na kaha ke aaj se tujhe 'insha', gulaam maine kiya
Re: itezhaab
Jahan jahan mujhay sehra dikhayee deta hai,
Meri tarah say akela dikhayee deta hai !
Yeh ek abr ka tukda kahan kahan barsay,
Tamam dasht hi pyasa dikhayee deta hai !
Yeh kis muqaam pay layee hai justjoo teri,
Jahan say arsh bhi nicha dikhayee deta hai !
Jahan jahan mujhay sehra dikhayee deta hai,
Meri tarah say akela dikhayee deta hai !
- Shakeb Jalali
Re: itezhaab
Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain,
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain !
Woh paas baithay to aaatee hai dilruba khushboo,
Woh apnay hothon pay khilta gulab rakhtay hain !
Har ik wark mein tum hi tum ho jaan-e-mehboobi,
Hum apnay dil ki kuch aaisee kitab rakhtay hain !
Jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee dey,
Hum apni aankh mein kitnay Chenab rakhtay hain !
Woh apnay chehray mein sau aaftaab rakhtay hain,
Isiliyey to woh rukh pay nakaab rakhtay hain !
- Hasrat Jaipuri
Re: itezhaab
Chly gaa.
Re: itezhaab
very nice :k: