can some one guide me on how to do istekharaa ? pls ![]()
Re: Istekharaa
Lagta hai bhabhi jee mil gayeiN hai ![]()
![]()
kia baat hai lafanter jee
bara phool shool diya jara raha hai.
istikhara k baray main mainy hakeem ul ummat molana ashraf ali thanwi ki taqreer ko bohat asan or logical paya jo unhoon nay apnay akhree risaalay bawaadir o nawaadir main kee hay
woh kehtay hain k hadees main App salal allho aliyi wasalam nay sirf itnee takeed fermaaye hay k jub koi muamla ho to tum istikhara kero or us ki dua batla dee
ab is main yeh kaheen nahi saabit hota k koi khuwab zaroor nazar aye ga ya app ka dil zaroor mutmain ho jayee kisi ik janib ..is ley k hum dekhtay hain bohat say istikhara kernay waaloon ko koi khuwab nazar nahi aata or na dil kisi ik jannaib mutmain hota hay
layhaza aysee tafseel hadees k khilaf ho gee
layhaza hadees say yehe maloom hota hay k apnay muamlaat main tum istikhara ker lo
ab tum jo bhi raasta is muamlay main ikhtyaar kero gay us main istikhaaray ki barkat say tumharay ley agar woh faaida mand cheez hoye to raastay assan ho jaain gay or agar nuqsan deh hay to woh kaam ho ga hee nahi ..
or yeh sooch kay jo dosroon kay zareye istikharay niklwaye jatay hain yeh bhi hadees say sabit nahi
hum nahi dekhtay k koi insaan baymaar ho or dawayee dosra pee lay to yeh kaisai ho sakta hay k muamla app ka ho or istikhara koi or keray ?
phir isitkhaara ka masnoon tareeqa hay k 2 rakkat nafil perh ker is dua ko perh liya jayee or lafz Haaz al amree per us muamlay ko soochain jis k baray main istikhara hay
yeh nawafil kissi bhi waqt illa makrooh oqaat k perhay ja saktay hain
phir is ammal ko 3 din ya 7 din kerna bhi sunnat batlaya jata hay
main ik Alim say sunna hay k nawaafil k ilawa bhi app is itsikharay ki dua ko kasrat say perhtay rahain is say yeh ho ga kay muamla bohat jalad app per wazih ho jayee ga
Thanx MUNIYA ![]()
Thanx PG for the detailed info ![]()
what is Hazz al amree
Shay and Niksik
abhy nahy milli, fingers crossed ![]()
I m doing istikhara as i m going to take few decisions abt which i m unsure
- there is some thing wrong with me, i cant seem to relax any time, cant sit any where for a while, dil main sakoon nahy, her waqt uljhan, i cant figure out the problem
I had few problems in recent past but every thing is normal now. i m having nightmares as well, there is some kind of strange fear inside me, cant explain, as if some thing is trying to contact me or warn me, istikhara is for weather i stay here and go on with my study or back to pakistan, in general i want to ask Allah for some direction as i m feeling very lost with no goals and no interest in life. doc says it could be bipolar as i get very high and then totally smashed .. . i m very in consistent. I stikhara i need for alot of small decisions but for my current situation and further planning in general as i already mentioned
muniya nay jo istikhara ki dua post keen hain woh kabhi mere nazar say nahi guzreen ..na hee un ka koi refrence wahan likha hay
behrhal ahadees main jo dua milli hay woh yeh
is dua main jahan jahan Haaa zal amraa ( mean. is kaam main) per pohnchain gay to us kaam ki ki neyat kernee hay yani us ko soochna hay jis k ley istikhara ker rahay hain
](http://www.eidmubarak.com/imageboxes/box71/i719903134520.jpg)
http://www.eidmubarak.com/imageboxes/box71/i719903134520.jpg