Iss waastey daaman chaak kiyaa shayad yeh junooN kaam aa jaaye
deewana samajh kar hi unn key hontouN pey meraa naam aa jaaye
meiN khush hooN agar gulshan key liye kuch meraa lahoo kaam aa jaaye
lakin mujh kou dar hai iss kaa gulchiiN pai ilzaam naa aa jaaye
ae kaash hamaari qismat meiN bhi aisi koi shaam aa jaaye
ik chaand falak par niklaa hou ik chaand sar-e-baam aa jaaye
mai-khaana salaamat reh jaaye iss ki tou kisi kou fikr nahiN
mai-khuwaar heiN bas iss khwaahish meiN saaqi pai kuch ilzaam aa jaaye
peenay kaa saleeqa kuch bhi nahiN uss par hai yeh khwaahish rindouN ki
jis jaam pay haq hai saaqi kaa haathouN meiN wohi jaam aa jaaye
iss waastey khaak-e-parwaana par shama bahaati hai aansoo
mumkin hai wafaa key qissay meiN uss kaa bhi kahiN naam aa jaaye
afsaana mukamil hai lakin afsaaney kaa unwaaN kuch bhi nahiN
ae mout bas itni mohlat dey unn kaa koi peghaam aa jaaye