Iss shehar tazabzub main....!

**

Mera tamam Fann , Meri Tamam Kaavish , Mera Riyaaz
Aik Natamam Geet kay misray hain jin kay Beech
Maiynay Ka Rabt hai Na kisi Kaafiya Ka Mail
Anjaam Jis ka Taye na Hua hoo Aik aisa Khel hai
Meri Maata Bas yahi Jadoo hai Ishq Ka
Seeka hai jisko main nay bari mushkiloon kay saath
Lekin ye sehar -e-Ishq ka tohfa ajeeb hai
Khulta nahin hai kuch haqeeqat main kiya hai ye
Taqdeer ki Ata hai ya koi saza hai ye
Kis sey kahain aye jaan! kay ye Qissa ajeeb hai
Kehnay ko yoon tu ishq ka jadoo hai meray paas
Seenay sey aik pahaar sa hathta nahin hai ye
Lekin Asar k baab main halka hai Iss Qadar
Tujh per Agar chaloon tu chalta nahin hai ye

Iss shehar tazabzub main hum baat karain kaisay
Din kaat kay hairaan hain Ab raat karain Kaisay!!!

**

4 Likes

Re: Iss shehar tazabzub main....!

Buhattt khoob..

Re: Iss shehar tazabzub main....!

nice sharing :). i like these lines, or aik waqt tha jab her waqt yahi gungunati rehti thi :p

Re: Iss shehar tazabzub main…!

:k:

Re: Iss shehar tazabzub main....!

Thanks shumaisa and sheal

Re: Iss shehar tazabzub main…!

thanks azad ji !!

Re: Iss shehar tazabzub main…!

buhat khoob :lajawab:

Re: Iss shehar tazabzub main....!

pas e aaina koi our hay?

Re: Iss shehar tazabzub main....!

Sar-e-aaina mera aks hai

Re: Iss shehar tazabzub main....!

ji Sar -e- aaina mera aks hai pas e aaina koi aur hai .......... ....................:)

Re: Iss shehar tazabzub main....!

thanks ali ji...

Re: Iss shehar tazabzub main....!

karay'lay agar tareeqe se banain gain to baat hi khuch oor hoti hay :)

Re: Iss shehar tazabzub main…!

ye shehr-e-tazabzub main karaylay kahan se aa gaye :konfused:

Re: Iss shehar tazabzub main....!

lolzzz still ur stuck in Karaylas..................hummmmm azad ji .........karaylay ki tarkeeb bhej do .........lolzzz

Re: Iss shehar tazabzub main…!

:hug: welcome back

Re: Iss shehar tazabzub main…!

ya meri poetry main azad ji ko karaylay nazar agay …:smack: itni mudaat k baad bhi karalay…:snooty:

Re: Iss shehar tazabzub main…!

lagta hai Azad ji ka karayloon se purana rishta hai :smiley:

Re: Iss shehar tazabzub main…!

allah allah galay milnay ka style tu dekhoo lolzzzzzzzzzzzz tuba tuba …:o

Re: Iss shehar tazabzub main…!

Ali bhai yeh to lalo khait ke hote hain (karay-lay) buss aise hi hote hain :slight_smile:

Re: Iss shehar tazabzub main....!

Ali ji najanay hamari posting dekh kar azad sahab ko karalay hi kyon yaad ajatay hain ab iss main hamara kia kusoor mudadtoon k baad aik posting karatay hain aur ye hummm humm ya karalaya keh kar salam dua karletay hain bas itna si kahani hai ................ab ye karalay sey muraad hum kaafi karway lagtay hain inko .........kabhi seedhi zuban main baat jo nahin kartay:)