Joo Baat Nahee Kartay
Unn Booltay Rangoon Main
Main Nay Tumhain Soocha Hai
Joo Dil Say Guzartay Hain
Unn Ajnabi Rastoon Main
Main Nay Tumhain Daikha Hai
Kehnay Kay Liay Tum Say
Baatain Too Bohat See Hain
Alfaaz Nahee Miltay
Joo Mairee Nazar Main Hain
Iss Shaher Kay Baghoon Mian
Woh Phool Nahee Khiltay
Main Nay Tumhain Jaana Hai
Izhaar Kay Rishtoon Say
Iss Tarah Juda Hoo Kay
Jiss Tarah Koi Banda
Dhartii Pay Nazar Dalay
Ik Baar Khudaa Hoo Kay