Iss sey qabal to yunh hota na tha
Judai aisa rulaey gi kabhi socha na tha
Iss khizan mein baat hai zaroor kuch kay,
Pehlay to zard pattey dekh kay mann rota na tha
Yeh raatein kyun pard gayee hain yunh weeraan
Aisi berukhi sey pehlay to asmaan sota na tha
Fursat-e-duniya hi shayad ho gayee hogi kam
Warna har pal dil yaadoan mein khota na tha
Sabar kerna bhi seekh hi liya hoga iss mann-chaley ney
Warna pehlay ghum sey aisa baahum samjhota na tha