**.: >iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

Aisa Lagta Hay Koi Yaad Chali Aati Hay..

Mai’n Ne Chaha Na Kaha Or Na Kabhi Khaahish Ki..

Terey Koochay Mei’n Teri Aab_o_Hawa Laati Hay..

Ye Sitaaray To Yu’nhi Saath Chalay Aaey Hai’n..

Warna Ye Chaand Akaila Mera Baraati Hay..

Mai’n To Dushman Ke Bichherrney Pe Bhi Roya Hu’n Bohat..

Tu To Phir Yaar Hay Or Yaar Bhi Jazbaati Hay..

Kis Qadar Ghao Hai’n, Ma’loom Nahi Hay Keh Abhi..

Jism Se Rooh Ka Rishta Hi Mazafaati Hay..

Haaey Kia Log Thay Pamaal Hoay Merey Liay..
Or Kehney Ko Mera Saara Safer Zaati Hay…

Re: **.: >iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

yahan to morning hai :crying:

Re: **.: >iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

Mai’n To Dushman Ke Bichherrney Pe Bhi Roya Hu’n Bohat..

Tu To Phir Yaar Hay Or Yaar Bhi Jazbaati Hay..

:crying: emotional dost

Re: **.: >iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

jub banda pagal honay k kareeb ho to aisi he baatiaan likhta hay. Yahaan din hay wahaan raat hay. Bistti mehsoos hoi ho to rply zaroor karna. Hahahahhahhahahhhh

Re: **.: >iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

iss Qadar Raat Gaey Kon Mulaqaati Hay?

Udhaar wapus manganay walla ho ga :bummer: