ISS MAKAAN MAIN KIUN ATEY HO???

Iss makaan main kiun atey ho
Jahan maot sa sanata hai
Har shay ik sehar ki lapait main hai
Koi jadugar qehqahe lagata hai
Ye qehqahe kitne khokhle hain
Woh phir bhi hasta jata hai
Mujhe maot se hargiz nhi darna
Chahe farishta ajal bhi ata hai
Yeh meri bas meri larai hai
Issey mujhe he tanha larna hai
Har aankh ashkbaar hai kiun
Har koi kiun tars khata hai
Mai ne ye rasta khud chuna
Phir tum kiun halkaan hote ho
Ye tanhai to tanhai hai kab
Yahan dil mehfil sajata hai
Iss makaan main mat aya karo
Yahan maot sa sanata hai
Mujhe iss ko ghar banana hai
Jahan panchi har dam gaain ge
Wo poday bhi laganay hain
Jin main har rang phool muskaain ge
Wo jadugar to kab ka mar chukka
Jo qehqahe lagata tha
Mai ne us khamoshi ko maat di
Jahan maot sa sanata tha…