Main nay bachpan main Jinn bhi dekhay hain…Sachee yeh mazak nahi hai..
Main pahlay apnay parents kay saath Jeddah (KSA) main rahtee thee..jiss ghar main hum rahtay thay uss ghar main JINN Uncle bhi thay…Maalik makaan nay bata dia tha kah yahan par woh rahtay hain, magar tang nahi kartay..woh mujhay nazar aatay thay..aur aaj tak mujhay unki shakal yaad hai..
Phir jab hum Umra karnay jaatay thay tou bhi wahan mujhay nazar aatay thay..aur woh apnay honay ka ahsaas dilatay thay…
Ammi bachpan main meray larkon jaisay hair cut karwa deti theen aur jab main larkon ka shalwar qameez pahantee thee tou main bilkul larka lagtee thee..aksar meray bhai aur abbu mujhay majid lay jaatay thay namaz parhnay kay liyah..aur main wahan sab males kay saath namaz parhtee thee..hehehe…ek dafa Khaan-e-Kaaba main, main abbu kay saath namaz parh kar bethi hi thee kah meray barabar main ek bohat hi lambaaa aur kaala sa shaks aa kar khara hogaya aur woh mujhay dekh kar muskuranay laga..dekhtay hi dekhtay woh aur lambaa honay laga..main darr kar abbu kay peechay kharee ho gayee tou abbu samajh gaye kah main nay Jinn ko dekh lia hai..tou unho nay Durood Shareef parhna shuroo kia tou woh shaks wahan sey hut giya..woh sirf mujhay hi lambaa hota hua nazar aaraha tha aur kisi ko nahi..
Ab yaad kartee hoon yeh sab tou kuch khuab sa lagta hai..jis jis ko bhi iss baaray main bataya sab nay iss ko mazak samjha..kisi nay yaqeen nahi kia..
haan yaar..meray bhai ki shaadi ho rahee hai…bass 1 week rah gaya hai aur shopping tou bass barai naam hi hoi hai..main nay tou ab tak apnay kapray bhi nahi liyah hain..bass usi main busy hoon..jab time milta hai online aajatee hoon..bohat kam hi aisa hota hai kah GS par aanay ka time mil jata hai…tou thori si tafreeh bhi hojatee hai saath saath..old guppies tou ab kabhi kabhi nazar aaatay hain un sey shikayat kia karna..lekin new guppies bhi bohat sweet hain..jaisay kah tum