Re: Ismay Jaalaal
^ sahib aap nain to poori taqreer hi kar daali.
agar aap koi shaa'ir nahin hain to hum kon sa deewan liye baithy hain. bas ye hai kay jo parh kay mehsoos hota hai likh daity hain. wo jo muhaal wala misra hai mairay khayal main 'sochna bhi muhaal' iss sayaq-o-sabaaq main nahin jamta laiken hum to sirf apni raai hi dai saktay hain. agar aap ko theek lagta hai to theek hai kyonkay aap ka kalaam hai.
main nain bhi yahan par kuch shaa'iri share ki hai. mairy khayal mein share karnay ka maqsad logon ki aaraa ka maloom karna hota hai. sirf wah wah kisi kaam ki nahin. issi liye main to jo mehsoos hota hai likh daita hoon aur khud bhi pasand karta hoon kay mairi shaa'iri parh kar log apni raai ka bar-mala izhaar karin aur jahan koi jhool, koi kami nazar aai to mujhe bataa'ein ta kay agli baar wo ghalati naan ho. agar aap ko meri tanqeed buri lagay to aik baar batana kaafi ho ga, phir nahin karon ga.