Re: Ismay Jaalaal
agreed
yeh kia misra hay ..mere zara nahi palay per raha ..is ko nasar main ker kay bataain naraz
Agar Aj say kuch saal phaylay kissi nay mujhay mayray likay howay shaair ki tasreeh karnay kaha hota tu . shayad mein yea kah kay aagay barja'ta kay !
Na saata.ish ki Tamanaa na silaay ki Parwaa
Nah sahee Gaar mayray Asshaar mein Maani na sahii
Lakin Yousfi shaab ki likii how eek baat yaad ahe kay ‘ jo shaair bayaak’waqt sab ki saamj ajay woo sab kuch hosaktah hai , shaair nahii ‘ .
Chuna.chay yeahii qoal is baat ki daleel hai kay meray iss zayray bayhees shair mein kuch tu chez shairaana hai !
Ap nay agar parveen ki wo ghazal ‘ chalnay ka hoslaa nahii , rukna muhaal kardi.aaa ‘ pari ho tu is shair ko samjnay mein aassaani rahay gee . Shayad ap hazrat Ahlay zuban nahe hain ( yea baat mein kissi laasani tasub’ kay baghair kah raha hoon) warna shayad tashree ki zaroorat paaish nahee athe .
Aksaar log ap ko shikaayat kartay milaan gay kay ‘ is garmi nay tu jeena muhaal kardia hai ‘ . mayray shair ka muhaal be kuch aysa hee hai . Mein ushay Sochna be ab muhaal hoon ka matlaab saaaf waazay hai kay wooh ( shair ka farzi mehboob) zindagii ki chaaki mein kuch aysay piiss raha hai kay mujhay sochna ko us kay pass ek pal bii nahi . tu mein yun ushay sochnaa muhaal howa !
Ab ek chooti si baat app doston say share kartah hon . Mein aab shairi nahe kartah . Akharii shair bi kuch maheeno phalay likaa tah , jab say soch kaa daaar aysa band howa hai kay khulta hee nahii . DamanaY dil aysa howa chaak kay siltah he nahii .
Zindagi mein jo be lika hai woo hamayshah lik kay parkay phaink dia hai , khabii kaalam ki soraat jamah nahi kiaa , yea jo chand tootay phootay shair hain wo kissi meharban ki waja say save hain , jo us nay khabii save karkay send kar.deay thay. Yahan Gs pay yea soch kay post kardi ay kay mein agar margaaya tu shayaad meray hurf mayray honay ki gawaa’hi day dain . Liknay or post karna ka shoq hota tu kissi mashoor shair say islaa lay kay abhi taak kitabii surat mein duniya ko gift kardi.ay hotay !
Shair honay ka khabi dawa nahi kia , yeah shairi hay he kahan . Dil ki bahraaas hai jo khabii kagahzoon pay nikaal rakhee thee .
Muj ko shair na kahoo , Mir kay shaahib mein nay
Dard O ghum kitnay jama ki.ay tu dewaan bana
App sab ki pasand.deedgi or Islaa ( joh log daytay hain like Anu bahi or other) woo sab saar ankhoon pay . Lakin ye sab ek phase mein likway howe poetry hai or wo zamana kab ka poora howa or banjaaraa kaab kaa laad chukka hai ! Sab bas yun hi taatt paraa rahy gaya hai ! Mein ab likna bi chahoon tu lik nahi saaktah ! Kaash kay yahan ghalib ki tarha kah saktah :
So pusshat say hai Payshah’ay Aaaba sipaa gireee
Kuch shaairii , zaree.ya ay Izzaaat nahi mujhay !