Re: Islam and Culture
culture ISLAM say alag nahi ho sakta … libas zaban rehan sehan in sub k basic Keys ISLAM day chuka hay un Asoolon per in ki shaklain to badal saktee hain lakin buniyaad to wohee rahay ge jo islam nay batayee
LIBAS > main islam ka asool Satar ka mukammal cover hona ..ab chahay koi Jubba pehnay ya qameez shalwar ya pant shirt lakin ASOOL to wohe rahay ga kay sattar dhanpa ho ..koi cultur k Nam per is main kammi nahi ker sakta
SHADI > islam ka asool ijaab quboool do gawah… ab koi 4 logoo main baith ker nikah keray ya marraige Lawn main ..lakin ASOOL k sath
KHANA PEENA > HALAL MEAT ho ab koi shorba banayee ya Brbq ya roast …Asool ik hay HALAL ho
Cultur jin jin cheezon ka naam hay us ki Buniyad ISLAM k Asool kay sath Attach hona Zaroore hai
or yaheen say mera sawal paida hota hai ..K is bat ka kia matlub reh jata hai ..yeh Culture ki bat hay MAZHAB ki nahi ?