Islam and Culture

Re: Islam and Culture

culture ko asaan zaban main URF kehtay hain… or ISlam main is ki ahmiyat hai bulkay sahrayee masaail main URF ka aytbaar kia jata hai

fiqaah main ik masla hay k kissi nay qasam khaaye k main ANDA (egg) nahi khaaon ga or phir us nay Chirya ya kabooter ka anda khaa liya to fuqaha-e-karam nay kaha is ki Qasam nahi tootay gee kion k URF main andha khana say muraad murghe(hen) ya Battakh (duck) ka hota hai

lakin sath main yeh bhi batya k agar Qasam khaanay wala aysay Ilaqay main rehta hay jahan chirya ya kabooter ka Anda khaaya jata hay to is AB is ki qasam toot gayeee ..Kaffara ada kerna ho ga

Look …Culture ki kitnee ahmeyat hai …Islam is ka layhaaz kerta hai

Mera sawal yeh hay k ISLAM humain Cultur main bhi GUIDENCE to day hee raha hay …k humain kahan tak AZADI hay …

phir is bat ka kia mutlub hai k hum kahain k yeh Cultur ki baat hay is main ISLAM dermiyaan main na laaao ?

bohat bareek say fark hay yahan , k kia Cultur k nam per hum un cheezon ko apna saktay hain jo Islaami Ahkaamaat say mutasadim hon ..chahay us ka level makrooh ,napasandeeda hee k derjay main ho ?