Aceones
January 11, 2015, 4:30pm
15
Re: Islam and Culture
her woh kaam jis main ibadat ya sawab ki neyat na ho us main hum Mazhab ko hata daytay hain or cultur ya waqt ki zaroorat k nam per apna laytay hain … agercha bazahir us say ap ko koi Nuqsaan bhi nazar na ayee
for example…makhloot mahfil ( mix gathring ) is ko kitnay log DIL say ghalat samjhtay hon gay ?
back ground yehee comment hain k yeh mazhab ki bat nahi cultur ki bat hai
mujhay yeh bat samjh nahi aate k mazhab to humain qabar tak k ahkaam bata raha hai bhala yeh kaysay mumkin hai k hum kisi cheez main yeh keh dain yeh mazhab ki bat nahi ?
yeh comment ko us moqa per hota hay jub ik fareeq dosray fareeq ko kahay k islam is cheez ko appreciate nahi kerta
to fareeq-e-mukhalif kahta hay yeh mazhab ki bat nahi
baat ghoom phir ker wahee agyee na …k ISlam jub qaymat tak k ley hey or zaabita-e-hayaat hay to her her cheez main is ka ammal dakhal ho ga
koi yeh kahay k mazhab is bat ko mana nahi kerta app ki daleel ghalat hay …woh or point hai
lakin yeh kehna k is cheez ka taluq mazhab say nahi …yeh comment sahi moqa per sahi ho sakta hai ?
is qisam kay moqay par ye keh dena k ye mazhab ki bat nahi culture ki hay, ya “is baat main mazhab ko mat lao” esa hi hay k “main is maamlay main mazhab ko nahi manta/ti” is say zyada to shaid kuch nahi kaha ja sakta, rawaiyon ki bat hay.
taqareer aur tahareer main to sab yehi kehtay/likhtay hain k “islam aik mukammal zabta-e-hayaat hay”.