Isi mein khush hoon...........

isi mein khush hoon meraa dukh koi to sahtaa hai
chali chaloon ki jahaan tak ye saath rahtaa hai

zameen-e-dil yun hi shadaab to nahin ai dost
qareeb mein koi dariya zaruur bahtaa hai

na jaane kaun saa fiqraa kahan raqm ho jaaye
dilon kaa haal bhi ab kaun kis se kahta hai

mere badan ko nami khaa gai ashkon ki
bhari bahaar mein jaise makaan Dahtaa hai

Parveen Shakir