Re: isi ki yaad maiN ab taak ye tahre'raiN mahakti haiN
andheray raastoN maiN yuuN teri aa'nkhiaN chamakti haiN
khuda ki barkataiN jesay paha'rooN pe uterti haiN
mohabat karnay waley jab kabhi aansoo bahatey haiN
dilooN k aa'enay dhooti huwi palkaiN sanwarti haiN
dhuwaa'N se badle'ooN ko dekh k aksar wo kahti hai
hamesha chandni maiN bewafa roo'haiN bhatakti haiN
hamari zindghi maiN phool bun k koi aa'ya tha
isi ki yaad maiN ab taak ye tahre'raiN mahakti haiN
mujhay lagta hia dil khench ker chala aa'ta hai hatooN per
tujhay likhooN tu meri ungli'yaaN aisay dharakti haiN
Buhat Khubsorat Post.............by the way yeh phool ka kiya ziakar hai......kun lay kar ayya tha:)