Merey pyaarey bhaiyyon aur unki pyaari behnon ko meri taraf sey pyaar bhara salaam qabool ho.
Aap sub ko aaj ki shaam ki dard bhari mehfil mein takleef deney ka eik hee maqsud hai mera…nahin, mera maqsad hargiz aap mein sey kisi ki shaadi karwana/torwana nahin hai (un kaamon kay liyey hamaray muhallay mein “Khaala Khairan” teesri manzil per maujood hain. Sarey “Bachon/Bachion” kay rishtey wohi karwati hain. Pechley pachees saalon sey apni khidmaton sey apney chahney walon ki zindagian sanwaarti hui chali aa rahee hain. Allah unki umar daraaz karey). Eik sawaal aap logon kay samnay mein paish karna pasand karonga, aur shaadi kay hawalay sey is sawaal ka buhat gehra aur albela taluq hai. Zara ghaur farmayey gaa.
To sawaal yeh hai naazreen-o-haazreen, kay aaj kul kay zamanay mein rishta “joornay” kay liyey eik larki/larka ko kaisa/kiss tarah ka hona parta hai? Chund misaalein kuch is tarah ki ho saktee hain:
-
Larka/Larki ka khoobsurat hona zaroori hai.
-
Larka/Larki ka Taleem Yaafta hona bhi ashud zaroori hai. (Uskay baghair to samajh lein “Khaala Khairan” ki zaroorat hee nahin partee. Rishta to jaisey aapkay ghar ki dehleez per aatey saath hee wapis palut jaata hai).
-
Larka/Larki ka (shareef/naik/namazi) hona zaroori hai.
Yeh teen to sirf misaalein aapko mein ney dee hain, aap agar chahein to meri mandarja-bala tajaweez per tanqeed/taareef kar saktey hain.
Mein aap sub sey guzarish karonga kay merey is aham sawaal ko baraye-meharbani mazaq mat samjhiyey gaa. Mein zaroori jaan-na chah raha hoon kay kiya aaj kul ka zamana waisa hee hai jaisa pehley tha? Sharaafat, Sadaqat, Saada-pan, Saleeqa-mand, Ba-shaoor, Ba-hunar aur naik chalan …kiya yeh sub khoobian aaj bhi utnee hee ahmiat rakhtee hain jitna pehley rakhtee thee, ya phir aap samajhtey hain kay insaan ka sirf (thanda/garam) “cool/hot” hona zaroori hai?
Agar aap mein sey koi bhai hazraat ya behan jawab dena chahein to baree khushi hogi. Apney haathon ko jumbish deney sey pehley is baat ko zehan-nasheen kar lee jiyey gaa kay aapka matlooba jawab aaj kay daur ko madday-nazar rakhtey hue “kirdaar” per roshni daaley, jo kay hamari mehfil ka buhat hee aham-tareen hissa hai.
Aakhir mein main buzurgon (mods) sey guzarish karonga kay agar wo is mehfil ki jaga kisi aur kamray ki taraf tabdeel karna munasib samjhein to bila jhijhak kar dee jiyey. ![]()
![]()