**
Koi mausam ho wasal-o-hijr ka
Hum yaad rakhtay hain
Teri baaton se is dil ko
Bahut aabaad rakhtay hain**
Kabhi dil ke sahefay per
Tujhe tasveer kertay hain
Kabhi palkoon ki chahoon mein
Tujhe zanjeer kartay hain
Kabhi khwabdeeda shamoon mein
Kabhi baarish ki raatoon mein
Koi mausam ho wasal-o-hijr ka
Hum yaad rakhtay hain
Teri baaton se is dil ko
Bahut aabaad rakhtay hain
Main nay waqt say pocha
Bhot say namwer fatayeh
Kay jin ka nam laynay say
Zamee’n bhee terthratee ho
Kay jin ka ziker anay per
Hawa bhee teher jatee ho
Kay jin kay zoor kay chrchay
Her ik ke zuba’n per hoon
Jub taray samnay aaey
To gerd-e-rah nazer aaey
Yay fitrat hay taree kay jub
Kisee kay hatth say niklay
To phir lota nahin kerta
Bhot magroor hay
Peechay palut ker to kabhee dacha nahin kerta
Mujhay to yay bata day waqt
Hara hay kabhee to bhee
Yay bola waqt
Tum nay jo kha sub teek hay lakin
Mujhay tum say yay kehna hay
Yay mana bhot say namwer maray gaaey hain maray haton say
Magher yay ishq zalim hay’
Ishq jub muqabel ho
Waqt har jata hay
Yay sub ko yad he ho ga
Kisee ke nimaz kaza hoee
Aur ansoo jub nikal para
Mujhay bhee lotna para…
Mana waqt zalim hay
Mager yay zehin main rukna
Jinheen ho ishq hasel
Waqt unheen choo bhee nahin sakta