**
aapkaa she’r paRhaa aur bhalaa bhii lagaa bahooot. daad qubool klijiye. zabana o bayaan kii riyaa’at aur uske Hawaale se 'arz karuuNgaa k aapne dusre misr’e meN “ham ne haaraa” [singular verb] likhaa jab k samandar aur sitaaraa [plural objects though singular…shaayad isii vajah se laGhzish hui] donoN milaa kar plural haiN…mere Khayaal se agar aap ise yuN kaheN to masalah Hal ho jaayegaa:
bisaat-e-hastii pe ham ne haare kabhii samandar, kabhii sitaaraa!
yeh maHez ek dostaana salaaH thii…aapko Haq hai k chaaheN to apnaayeN, chaaheN to mustarad kar deN…shukria :)**