hijr ki kaali raat main kaisay kaisay loge
khaak main mil kar khaak huay tum kya jano
hum nay ek tumharay naak ki khushboo sey
kitnay dasht bahar kiyah tum kya jano
apni kitaab-e- umar ki saari satron main
hum nay kis kay khuab likhay tum kya jano
tum bichray tou hum nay apni palkon par
kitnay darya rok liyah tum kya jano
sur ki chaon main lafz ki kaliyaan khilnay tak
hum tou sab kuch bhool gaye tum kya jano
**