Ishq men la'jawab hain ham log

Ishq men la’jawab hain ham log
maahtaab aaftaab hain ham log

Garche aehl-e-sharaab hain ham log
ye na samjho Kharaab hain ham log

Shaam se aa gaye jo pine par
subah tak aaftaab hain ham log

Naaz karti hai Khana-virani
aise Khana-Kharaab hain ham log

Tu hamara javaab hai tanha
aur tera javaab hain ham log

Khub ham jante hain qadr apni
kitne na’kaamyaab hain ham log

Har haqiqat se jo guzar jayeN
vo sadaaqat-ma’aab hain ham log

Jab mili aaNkh hosh kho baiThe
kitne hazir-javaab hain ham log.

          Khawab.Rung