ishq me.n Gairat-e-jazabaat ne rone na diyaa

ishq me.n Gairat-e-jazabaat ne rone na diyaa
Sudarshan Fakir

ishq me.n Gairat-e-jazabaat ne rone na diyaa
varna kyaa baat thii kis baat ne rone na diiyaa

aap kahate the ke rone se na badale.nge nasiib
umr bhar aap kii is baat ne rone na diiyaa

ronewaalo.n se kah do unakaa bhii ronaa role.n
jinako majabuuri-e-haalaat ne rone na diiyaa

tujhase milakar hame.n ronaa thaa bahot ronaa thaa
ta.ngii-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diiyaa

phool khilte hai bahaaron ka sama hota hai
aise mausam may hi to pyar jawaa hota hai
dil ki baton ko hothon se nahi kehte
yeh fasana to nigaon se bayaan hota hai

Nice Too hot

wesse LogoN ki 75 replies ke baad thread HOThoti hai ..i think aapki 75 Threads hojaane per hi HOT hoti haiN ..wesse bohat hi HOT jaa rahe haiN..khaiyaal rakhyie gaa PaouN meiN se dhuNwaaN na nikal raha ho

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

anyway meri aik ghazal issi Zameen meiN arz hai:-

** Uljhe Uljhe se kHaiyaalaat ne sone naa diyaa
gHam meiN Doobe huwe Jazbaat ne sone naa diyaa

Din guzaara tha umeedoN ke sahaare lekiN
Raat aai to tawahumaat ne sone naa diyaa

chain Aaataa jo pal bhar ko skooN miltaa
Ik Faqat Gardish-e-Halaat ne sone naa diyaa

Shamma keya kHaak jali ham hi jale they “Shaakir”
Shab bhar us Aaatish-e-Hiskaat ne sone naa diyaa

This Ghazal is nice too. Really nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Thanx Brooo

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif

hoty very niceeeeeeee

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggthumb.gif

tasneef bhai lovely

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

bohot achayyyyyyyy

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/kiss.gif


**]/] ]] $ ] ] ]/] **

**·¤·²´*.¸°º:³»Everything good that happens to you (O Man) is from God, everything bad that happens to you is from your own actions". (Quran 4:79). «³ : º°.¸ *·¤·²´
**

^If da sun don’t shine foeva, but as long as it’z hea den we mite as well shine togetha^